Saturday, October 16, 2010

Anjani raah tanha nager dy gaya mujhe...

Anjani raah tanha nagar dy gaya mujhay
Pather ka shehr sheshay ka ghar dy gaya mujhe,

Wobhi mujhi ko sochta rehta hy raat bhar
Us ky nagar ka chand khabar dy gaya mujhe,

Us shakhs ki muhabbatin kitni shadeed thein
Khud mit gya apni nazar dey gaya mujhe,

Wo qafilay ko chorr kar tanha he chal diya
Or jatay howe rakht e safar dy gaya mujhe,

Jana wo "Bewafa" tha ya "Majboor" tha Wasi..
Zundagi guzarnay ka huner dy gaya mujhe.

No comments:

Post a Comment